Translate

.

Wednesday, 2 May 2012

Speakers

Sound out put key lye bhi koe device darker hota hai. Iss key lye Speaker isstamal hotain hain. Ye head phone ki soorat main bhi hosaktain hain aur baaqa-e-da Speaker bhi hosktain hain. Inn ko out put divice main shumar keya jaskta hai kyun key ye bhi aik qisim ka out put daitain hain.
Aaj key jaded oprating system khud apney mukhtalif afaal key liye ka-e tarhaa keysound effect rakhtain hain. Inn ki mojoodgee main agar aap inn ko shanakhat karsaktey hain to, screen par tawaja na honey ki surat main bhi aap jan saktain hain key kya kuch horaha hai. Issi tarha voice mail aur real time audio vedio communication ki waja sey Speaker ka isstamal lazmi hogaya hai. Iss key liye eham-yat key lehaaz sey iss out put device ko nazar andaaz nahi kya jaskta. Speaker ko zahir hai Sound card par laga ya jata hai.
Input aur out put device key iss mukhtasar taaruf key baad hum wapis system unit ki taraf chaltay hain. Yahi wo hisaa hai jisey aap markazi hisaa keh saktey hain. Issi main tamam device lagaye jatain hain aur issi hisey ki asambling ki jaati hai. Upper hum ney jin cheezon ka zikar kya hai wo sub ki sub halat iss halat main aati hain key bus aap inn ko PC key saath laagana hi hota hai. Koe Speaker ya monitor aap asamble nahi kartain balkey ye mukamal unit ki surat main aatey hain. Taa hum inn ki configuration aur settingki jaati hai jiss ka tariqaa hum waqt aaney par aap ko bata dain gay.
Tmaam zarori cheezain jo ek computer ki tashkeel karti hain central processing unit main hi main lagi hoti hain. Iss key illawa hard disck jayessi storage device bhi iss key under lagti hai. Iss full multimedia ya machine main jo zarori samaan lagta hai agley page main hum is ski tafseel dai rahey hain. Iss key illawa ka-e izaafi chezain hain jo mukhtalif zaroraton key paish nazar iss main laga-e jati hain. Inn ka alag sey zikar karain gay. Pehley hum ek multimedia machine key zarori ijzaa aap ko btatain hai.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...