Translate

.

Thursday, 3 May 2012

Connect the Processor

Motherboard ko plate par mount karne keybad dosra marhala iss main processor laganey ka hai. Jo processor slot main lagaye jate hain (slot main lagaye janey waley processor sirf P2 aur P3 series main aatey hain. Iss main bhi mazeed note kar lain key P2 main sirf slot main lagney waley processor he aaye jub key P3 main PPGA processor bhi das-ta-yaab hain. Slot main lagaye janey waley Processors ka tajurba P2 sey shuroo hoa hai lekin P3 main iss key sath he dosri kisim key processor aagaye) jaisa key humarey iss motherboard ka mamla hai, wahan processor ko support karney key liye yaani sahara dainey key liye do-no janib plastick ki supports lagaye jati hain. Ye supports laganey key liye motherboard key upper surakh baney hotey hain aur inn key liye bhi lock system ikhtyaar kya-gaya ho-ta-hai. Ye supports motherboard key sath he aati hain. Inn ko motherboard par baney surakhoon main lagaya jata hai. Inn supports ko processor slot key do no janib lagayain.

Ye processor P3 Intel hai aur is ki mega hertz speed 500 hai. Iss ko motherboard par iss ki slot main lagana nehayt aasan hai. jo hisaa slot main pahansa ya jata hai iss main pins bani hoti hain jis tarha key mukhtaleef card key nichley hisoo main pins hoti hain. ye pins issi tarha nichley hisey main print hoti hain jiss tarha board par serket print kya gaya hota hai yaani ye pins board sey taangoo ki surat main bahir nikli hoi nahi hoti. Inhain pins key zarye ye motherboard par bani slot sey connect hota hai. Processor main jahan pins hain wahan center sey thorha dain taraf hit ka aik cut laga hota hai. Agar motherboard par bani processor ki slot ko ghor sey daikhain to iss main bhi issi position par aik ubh-ri hoi jagah hogi ya rukaawat si bani hogi. Iss sey pori tarha andaaza hojata haikey motherboard par parocessor ko kis rukh lagana hai. Iss key ilawa aap ko peocessor key sath aik cable bhi nikli hoi dikhaye daigee. Ye darasal processor key fan ki cable hai aur iss ko motherboard par makhsus jagha par lagaya jata hai. Iss cable key zarye processor ka fan current hasil karta hai. Processor par lagaya gaya fan issey thanda rakhney main madad deta hai kun key processor jab apney aamal kar raha hota hai to ye kaafi garmi paida karta hai.

Baaz processor aisey hain jin par fan lagaya jata hai aur baaz par alag sey aap ko khud bhi lagana parta hai. Humarey iss model main processor key upper fan pehley sey mojud hai. Processor ko laganey key liye issey durust simt main rakh kar support main is ki jagha lain jahan par pahnsaya jata hai. Inn supports main bhi aik kisim ka lock system hai. Processor ko durust position main lakar iss tarha dabaya jata hai key is ki pins wala hisaa slot main chala jaye. Jab ye pori tarha slot main beth jaye to atraf ki supports khud ba khud lock hojati hain.

Processor ko lagatey waqt iss ko pakrney ka tareeka ye hai key pankhey key do-no janib iss ko do-no hanthoo sey thaa-main aur iss ko bilkul matwazi andaz main niche ki simt dabain. Iss tarha key dono janib sey iss par aik jaisa dabao parey. Kisi bhi taraf sey ye ziada uthaa hoa ya ziada jhoka hoa na ho. Agar iss ko laganey main ehtyat na ki jaye to nuqsan bhi hoskta hai.

Jub processor ko motherboard par lagaya jaye to is ki fan cable ko board main diye gaye cable conector main lagaya jata hai. Ye fan board par sey current hasil karta hai. Jiss kisim ka processor hum isstamal karahain hain iss ka fan sath he laga hota hai. Jahan takfan ko current dainey ka taluq hai to iss key lye motherboard kaye cable conector banaye gaye hain. Inn main sey jiss par bhi aasani key sath cable pohunch jaye wahan par ye conector laga dain. Iss ko laganey key liye kisi rukh ki wazahut zarori nahi hai kun key inn ki sakht he aisi hai key ye aik he rukh main lag sakey gain.

Processor ko current, motherboard iss processor ka tajzia karney key baad khud hee farahim kardaita hai. Jitney bhi jaded board arahain hain wo khud he processor ki zarorat key mutabiq current adjust kar key issey farhim kar daitey hain aur iss key saath saath is ki clock speed ka tajzia laytey hain. Kuch third parti board aisey hain jiss main processor key currnt aur clock speed kay lye jumper setting karna parti hai ya bios main jaa kar inn key liye current aur clock speed ka intikhab karna parta hai. Inn sub chezon ki tafsil hum bios key tehat dain gey kun key yaahan jo model tyaar karahain hain iss key saath inn cheezon ka koe taluq nahi hai aur motherboard khud he saara kaam karleyta ha.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...