Pain aur graphic tablet bhi input device main shumar hotain hain. Inn ka isstamal aam toor par wo loog ziada kartain hain jinhain kisi no-e-yt ka drawing ka kam karna hoga. Jaisey taamerati naqshey bananey aur artist loog. Iss main ek pain hota hai jis main kisi qisim ki roshnaaye nahi isstamal hoti bal key ek selet ki shakal ki digital divice key upper iss ko isstamal kyajata hai. Lekin jub iss selet numa divice par iss pen ki madad sey kuch drawing kya jata hai to screen par issi tarha ki drawing hoti hai.
Input device main agla number scanner ka hai. Yephoto graphic image, alterations aur drawing ko digitalshakaal main computer key under input karney key lye isstamal hotey hain. Iss ki do kismain hain. Ek flat bedscanner aur dosra hand held scanner. Flat bed scanner ki misaal ek photo state machine ki tarhaa hai. Issi tarha iss main aap tasweer ya drawing rakhtain hain aur wo computer main input ki jaati hai. Jub ek hand held scanner ko haanth key zarye tasweer ya drawing paer chala kar input kya jata hai. Scanner key zarye jab koe tasweer ya graphic image input kar latey hain to badazan issey kisi photo editer program key zarye edit kya jaa sakta hai. Jahan tak scanner ko CPU key saath laganey ka maamla hai to (scsi) port, peralal port aur (USB) port par lagaya jasakta hai.
Jab sey computer aawaz record karney ka ehal howa hai micro phone ko bhi input device main ek eham muqaam hasil hogaya hai. Ager aawaz ki recordingkey lye koe alag sey program naa bhi ho to window kaapna zaati sound recorder hai. Sound ko input karney ka sub sey bunyaadi zarya micro phone hai. Iss key zarye aap apni awaaz ko record kar key mukhtalif mawakey isstamal karsktey hain. Issey voice mail key toor par bheja jaskta hai. Aur to aur windows key mukhtalif kaam karney key mokey per jo awaazain hoti hain inn ki jagha apni awaaz ko shamil karsktain hain.
Jub sey internet key zarye beroon mumaalik (foreign countries) main phone karney ki sahoolat ka isstamal start howa hai iss waqt sey micron phone ko ek PC ka lazmi hisaa tasaver kya jaaney laga hai. Micro phone laganey key ley sound card key upper ek pin di gaye hai iss main micro phone ki pin laga-e jaskti hai. Jin board key under bilton sound card hain inn main alag sey ek pin whole dya gaaya hota hai.
Scanner
Microphone
Jub sey internet key zarye beroon mumaalik (foreign countries) main phone karney ki sahoolat ka isstamal start howa hai iss waqt sey micron phone ko ek PC ka lazmi hisaa tasaver kya jaaney laga hai. Micro phone laganey key ley sound card key upper ek pin di gaye hai iss main micro phone ki pin laga-e jaskti hai. Jin board key under bilton sound card hain inn main alag sey ek pin whole dya gaaya hota hai.
No comments:
Post a Comment