Translate

.

Sunday, 6 May 2012

Corel Draw 4

Text Tool

Aggar aap page per text likhna chahte hain to text tool ka estamaal karain.

Estamaal (Uses):

1. Pehle tool box mai tool box mai click karain.

2. pher page per click karain aur likhna shuro kar dain. Es ke baad property bar mai se font style, size wghera change kar sakte hain aur italic, bold vaghera bhi kar sakte hain.

Aggar aap ko esi text ko kise object per likhna ho to

1. Pehley aap aik circle banain ya Arc vaghera banain.

2. Ab text tool per click kar ke object ki line per click karain our likhna shuro kar dain.

3. likhne ke baad pick tool per click karain.

4. Selection khatam karain.

5. Pher text per click karain jo golai mai likha howa hai.

6. Property bar mai se es ki direction tabdeel karain aur rotation bhi de sakte hain. Esi object ke gird.
Interactive Blend Tool

Ye kuch aesi shakalain hote hain jo bohat zyada aam hoti hain aur aam logo banane maikaam aati hain. En mai stars, banners, arrows ya flow chart ki shapes hoti hain. En mai se koi bhi category select karain en ki property, property bar mai aati hain. Wahan se en mai aur bhi shakalain aati hain jin ko hum click kar ke page per bana sakte hain.
Interactive Blend Tool:

Agar aap ko kesi 2 object ko jo aik dosre se shakal mai mukhtalif ho aur rang mai alag alag ho aik dosre mai milla hova dekha sakte hain. rang aur shakal dono ko.

Estamaal (Uses):
Pehle 2 objects aik circle aur aik rectangle bana lain.
En dono mai se kesi bhi aik object ko select karain.
Tool box mai se blend tool per click karain.
Pehle object per mouse le kar jain aur click daba kar rakhain aur dosre object per mouse le kar jaen jab wo pora dosre object se mila hova nazar aaye to click chod dain. Property bar mai se en objects ke number de sakte hain jo blend tool ke zarye en dono object ke darmeyan aa rahe hain aur en ko rotate bhi kar sakte hain aur rang bhi tabdeel kar sakte hain. Kesi blend hove object ko hum property bar ki madad se gool daerey ki shakal mai bhi la sakte hain.
Blend karne ke baad aik gool shakal banain aur blend ko select karain.
Pher property bar mai path ke naam se aik option hai es per click karain. Es gool shakal per click kar ke en object ko es gool shakal per le aayen. Es ke elawa blend ke rang bhi tabdeel keye ja sakte hain.

Interactive Contour Tool

ab humain kesi aik object ya text mai bohat sarey object ya text kekhane hon to contourtool ka estamaal karte hain.

Estamaal (Uses):
Pehle aik object banain.
Es ko select karain.
Tool box mai se contour tool per click karain.
Object per mouse le kar aayen aur click daba kar rakhain.
Mouse ko oper ya nechey kesi bhi simt mai le kar jain aur pher jab objects nazar aa jaye to click chod dain.
Property bar mai se contour wale object ke number ko kam ya zyada karain. En kerang bhi tabdeel kar sakte hain aur object ko aage ya pechey bhi kar sakte hain.

Distortion Tool

Aggar kesi bhi object ya text ko aap kise bhi simt mai ghomana chahte hon. Maslan PSO ke naye logo mai jis tarha star ko ghoma kar dekha ya gaya hai es tool ki madad se es tarha ka Effect bana sakte hain. Esi tarha kesi chokor shakal ko bhi gool shakal mai ghomta hova distortion tool ki madad se dekha sakte hain.

Estamaal (Uses):
Phele aik object banai.
Pher esey select karain.
Distrotion Tool per click karain aur property bar mai aap ye tool leny ke baad dekhainge to aap ko select kiye hovey object ko gool ghumane wali property, kantne wali property aur push and pull ki properties milain ge kise per bhi click kar ke mouse ko object per le kar jain aur click daba kar rakhain aur mouse ko kise bhi simt mai le kar jain aur apni matloba shakal hasel kar sakte hain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...