Bezier and Artistic Media Tool
Bezier Tool:
Agar aap ko curve line banani ho to Bezier Tool ko select karain aur mouse click karain es ke baad dosre point per mouse click daba kar rakhain aur mouse ko oper ya niche ki taraf jahan bhi aap ko curve chaheye Drag karain aur apni matloba shakal haasil karne ke baad click ko chod dain.
Note: agar aap click daba kar chod dain ge to staright line ban jaye ge.
Artistic Media Tool:
Artistic media tool ki madad se object per ya apni matloba shakal mai Brushes estamal kar ke mukhtalef design bana sakte hain.
Estamaal (Uses):
1. Tool Box mai se Artistic Media Tool pr click karain.
2. Property Bar mai pehley Burshes ke option per click karain aur es ki width batain.
3. Page per mouse pointer laa kar koi bhi shakal banain. To ye aik marker ka kaam kare ga.
4. pher property bar mai se sprayer ke option per click karain aur sprayer ke style ko select karain.
5. Es ko bhi page per mouae drag kar ke estamaal karain.
Note: Es tool ko hum kesi bhi shape maslan rectangle, ellipse waghera per bhi estamaal kar sakte hain. Lekin es ke liye mouse drag karne ki zarorat nahe hai. Object ko select karain aur Brushes ya Sprayer ka koi style es per apply kar dain.
Agar aap khat-ta-ti karna chahte hain to.
1. Property bar mai sy Calligraphic ke option per click karain.
2. Ab aap mouse ke zarye job hi lekhna chahte hain vo likhain.
3. likhne ke baad width aur angle bhi property bar ki madad se tabdeel kar sakte hain.
Dimension Tool
Agar kesi bhi object ki width aur height napni ho aur es ko print mai bhi show karna ho to Dimension Tool ka estamaal keya jata hai.
Estamaal:
1. Aik object banain.
2. Es ko select karain.
3. pher Dimension Tool per click karain.
4. property bar se Horizontal Dimension per click karain aur mouse es object per le kar jain. Object ki line per mouse click kar ke chod dain.
5. Mouse ko chodai mai object ke dosrey kinarey per le kar jain.
6. Object ki line per click karain jahan object khatam ho raha hai vahan per aik dafa click karain. Es ke baad jis taraf aap ko es object ki width likhe hoi chaheye vahan per Double Click karain ta ke vahan per width likhe hoi show ho jaye.
Note: Esi tarha aap property bar mia se vertical dimension per click kar ke object ki height bhe maloom kar sakte hain.
Connector Tool
Agar aap ko kesi aik object ko bohat saare objects se connect karna ho to Connector Tool estamaal karte hain. Es ke madad se Flow Charts vaghera bhi bana sakte hain.
Estamaa (Uses):
1. Koi bhi object bana lain.
2. Es ke baad 2 ya 3 objects aur bana lain.
3. Pehle wale ko es tarha rakhain ke pehla wala object sab-se oper nazar aaye.
4. Es oper wale object ko select karain.
5. Connector tool per click karain.
6. Pehle object ke kesi bhi point per mouse le kar jain wahan aap ko aik chota sa nishan nazar aaye ga.
7. Ab mouse click daba kar rakhain aur dosreyya tesrey object ke oper mouse le kar jain.
8. Object ke kinare wale points mai se kise aik point per click karain jahan connector tool ki nook es object per chipak jaye to aap click chod dain. Ye object pehley wale object se connect ho jaye ga. Aap pehley wale object ko kahin bhi move karain ge to vo dosre object se es ka ta-el-luq dekha ta rahe ga aik line ki shakal mai.
Note: Esi tarha aap jetne bhi object chahain connect kar sakte hain.

No comments:
Post a Comment