Translate

.

Wednesday, 2 May 2012

RAM or Random Excess Memory

Random excess memory ya ram aik aisi memory hai jo iss waqat tak data ko sambhal sakti hai jub tak iss ko current milta rehta hai. Johein current milna band hota hai issi waqat iss par mojood tamam data tehlil hojata hai. Jub computer par kaam horaha hota hai to iss tamam arsaa main honey wala tamam kaam RAM par store kya jata hai. Jub kisi program sey save command keyzarye computer ko ye data store karney keyley kaha jata hai to ye data RAM par sey kissi storage device (job bhi target hogee) par store hojaye gaa.
Iss key ilawa RAM ka kaam aik bridge ki tarha hai. Yaani ye do tarfa toor par data ko sambhal leti hai. Jub kisi storage device par store data ko Riverview kya jata hai to bhi ye data RAM par he load hota hai aur printing key amal main bhi kissi device ko data farahim karti hai.

Display Card


Display card system unit ka aik eham hisaa hai. Issi ki badolat hamian screen par wo tamam aamaal nazar aatain hain jo system unit seranjaam dairaha hota hai kyun keysystem unit aur monitor key darmyaan display card hee wo rabta hai jo monitor par tamaam cheezain zahir karta hai. Display card 3 tarha key hotain hain. ISA, PCI aur AGP. Display cards ki apni memory bhi hoti hai. Iss waqat market main 64 MB memory key saath display card dastiyaab hain.
Baaz Motherboard aisey hain jinn main display card built-in hota hai wo bhi inhe tareekoon par kam karta hai jis par dosrey display kam kartain hain lekin ye manufacturingkey doraan Motherboard par aik chip ki surat main laga-diyaa jaata hai. Jinn Motherboard par built-in displaycard nahi hota inn mai alag sey card lagana parta hai. Mazkorah baala 3 iksaam ki slot key hawaley sey hain jinn par ye lagaye jataey hain. Baaz Motherboards jinn main ye built-in hota hai, inn main ye board key opper he iss tarha laga hota hai key isski port ya display card ka wo hissa jis par monitor ki data cable lagti hai khud-ba-khud casing key back panel main fit hojata hai baaz main iss ko back panel tak pohunchaney key liye extention isstamal hoti hai.

Hard Disk

Hard Disk ka bunyaadi kam data ko store karma hai. Aik waqat aisa bhi thaa jub hard disk ka koe tasaver na tha aur floppy keyzarye boot kya jaata tha. Iss key bad job hi program estamal karna hota tha is ki disk lijati thee. Sub sey pehley 20MB ki hard disk aayen to tehel-ka mach gayaa. Aaj hardisks ki taadad ka ye aalam hai key 20GB sey ziada capacity ki disks aam istamal horahe hain. Computer main storage ki astadad naapney ka pemana byte hai. Byte baazabtey khud 8 bits ka majmuaa hai aur ye aik huruf, hindsey, aalamat ya aik khali space key baraber hai. Kisi bhi disk ki data sambhalney ki ehalyaat ko issi pemaaney sey jaana jata hai.Aam metric system key baraks jiss main aik kilo sey muraad 1000 hai, computer data main kilo sey muraad 1024 hai. iss lehaaz sey jo paimana baney gaa wo iss tarha hogaa.


8 bits =1 byte1024 bits =1 kilo byte (KB)1024 byts = 1 mega byte (MB)1024mega bytes = 1 gega bytes (GB)1024 gega bytes = 1 tetra byte (TB)


Hard disckon ki tadad ka andazaa aik mamoli missal sey lagaya ja sakta hai. 1.44 mega byte ki aik floppy kay ander 1509949 huraf, alamatain ya hindsey aasaktey hain. 20 gega byte ki aik hard disk kay andar ktney huraf aasaktey hain iss ka andazaa yon kya jasakta hai key aik mega byte main 1048576 bites hotain hain inn ko doo martaba 1024 sey aur phir hasil zarab ko 20 sey zarab dey kar daikh lain jo tadad hasil hogee wo 21990232555520 hia.


Hard disck ki iss tadad ka taluk iss key zahiree hajam sey nahi hain yaani 20 gega byte ki hard disk itni he jisamat ki hogee jitni jisamat 120 mega bytes isstadad ki hamil hard disk ki hosakti hai halankey iss tadad key lehaaz sey wo iss sey secro gunaa bari hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...