Translate

.

Wednesday, 2 May 2012

Digital Camera

Multimedia computers main digital Camera ko bhi input divice key toor par isstamal kya jaskta hai. Humare yahan inn ka isstamal net meeting waghera ky lye kya jata hai. Jeysa key windows bhi net meeting ki sahoolat farahim karta hai jis main aap ki awaaz key sath sath aap ki tasveer bhi mukhatib tak pouhunch jati hai. Issi tarha ager aap key mukhatib ney bhi cameralaga rakha hoga to aap is ski tasveer (picture) bhi apney computer par daikh sakain gay. Digital camera ko aam toor par serial port ya USB port par lagaya jata hai. Kuch camera aaisey hain jin key lye inn ka apna vedio capture card bhi hota hai.


Output Divice


Computer key under data feed karney key lye jo aalat istamal hotey hain inhain inputdivice kehtain hain. Inn ka mukhtasar taaruf upper karaya ja chukka hai. Issi tarha aaisey aalat jin sey data process honey key bad kisi bhi shkal main hasil kya jata hai innhain output divice kehtain hain. Zail main hum inn aalat ka mukhtaser toor par zikar karain gey jinhain aaj hum output key lye isstamal karahin hain

Monitors


Output divice main sub sey zaida ehamiyat monitor ko hoti hai. Issey display bhi kehtain hain aur baaz ouqat osey mohiz screen bhi kaha jata hai. Issey jo bhi naam dain apni ehamyat key lehaz sey ye iss lye doserey divice par fokyat rakhta hai k is ski zaroorat computer sey ziada user ko hoti hai. Isstamal kondah ko issi zarye sey computer key afaal ka pata chalta hai. Jo amal computer key under horaha hota hai iss ka natija motnitor ki screen par he zahir hota hai warna computer ka agr monitor off kar key bhi chala dain gey to issey koe aiteraaz nahi hoga lekin aap nahi jan sakain gey key aap ka computer iss waqt kya karaha hai.
Monitors ki kaaye qismain hain jo iss waqt market main dastyaab hain. Lekin sub sey ziada jo qisim aaj kal maqbull hai iss ko super vedio graphic adapter ya ikhtisaar key sath SVGA kehtain hain. Lekin ye technology bhi ziada arsa dikhae nahi daiti kyun key (LCD) yaani liquid cristal display technology aam horahi hai aur mustaqbil key monitor bila shuba issi technology ki bunyaad par banain gey. Inn ki maqbulyat ki waja ye hai key iss qisim key display jagha kam gher tain hain kyun key inn main picture tube isstamal nahi hoti jis ki waja sey monitor ki lambaa-e choraaye ziada hoti thii. Bal key inn main wahi technology isstamal hoti hai jo calculator ki screen aur digital ghryun ki screen main isstamal hoti hain. Iss qisim key monitor ki choraa-e aik dair inch hoti hai.

Taarikh shid hai key technology ki raftar main kabhi kami nahi aaye ye hamesh aagey hi barhti hai aur insaan maazi key tajurbatr sey faida utha kar hamesha he behtar sey behtar cheezain bananey main koshaan raha hai. Saal 2000 ki world record book main aik aaisa monitor dikhya gaya hai jo key aankh ki putli ki jisamat ka hai. Issey aik head phone ki tarha sir sey sahara dai kar aankh key kareeb laya jata hai aur iss mai display iss tarha nazar aata hai jis tarha key aik bari screen key monitor par nazar aata hai. Iss ki waja yahi hai key hoti hai key ye aankh sey kareeb tar hota hai aur jo cheez aankh sey kareeb tar hoti hai wo bari dikhayee daiti hai.
Iss key ilawa maazi main jo qisimain isstamal hoti rahi hai inn ko mukhtaser toor par aap app key gosh guzar kar daitain hai.

Mono:

ye monitor ki ibtidayee shakal thee iss main sirf aik color he zahir hota thaa. Ye sir text ko zahir karsktey tain iss main graphic ko display karney ki astadad naa thii. Iss main data cable key mail conector main pinoon ki taadad 9 hoti thee.

Mono croom (paper white):

Ye mono sey kadrey behtar tahin aur text key sath asth kisi had tak graphic ko dikhaney key ehal thain. Inn key ley aik file MK file key naam sey hoti thii. Iss excecutable file ki badolat ye graphic wagheera ko behtar toor par dijkhatey tahi. Iss main bhe data cable key mail conector main pinoon ki taadad 9 hoti thii.
EGA:

Ye subaz rang ki screen main aatain tain. Ye bhi mono croom ki tarha thain inn main izafi khubi ye thii ye kisi softwear ki madad key bagheer graphic ko dikha saktey thain.

Color graphic adapter (CGA):

Ye color display thaa. Iss main graphic ko dikhaaya jaskta thaa. Iss ki screen bhi sabz he hoti thee lekin (EGA) jiss main sabaz screen par sirif aik hee yaani suufaid rang zaahir hota thaa, key baraks ye graphic ko digeer kaye Rangoon main bhi zaahir karskta thaa.

Mono Video Graphic Adaptor (MVGA):

ye monitor graphic ki poori tarha spoort karta thaa lekin inn ko sirf black and white hee zahir karskta thaa. Jis tarha key aap ka black and white television hoota hai. Jiss main tasweer key tamam khat wa khal drust andaaz main lekin black and white main zahir hotey thay.

Video Graphic Adapter (VGA):

Ye haqeeq maayenoo main graphic adapter thaa. Iss main color display thaa. Agrchaa ye graphic wagheera ko pori tarha display karney ki ehalyt rakhta thaa lekin is ski resolution ko spoort karskta hai.

Super video graphic adapter (SVGA):

Ye color display series ka sab sey achaa monitor tasawor hota hai. Inn ka refresh rate sab sey ziada hai is ski badolat ye tasveer ko nehayt achaey andaaz main zahir karsktey hain aur inn ki resolution bhi bohut ziada hai.
Aam toor par monitor ko (VGA) card ki port par lagaya jata hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...