Floppy drive computer ka lazmi hisaa tasaver hota hai. Lekin ab kuch arsaa sey inn ki ehamyat kam ho-rahe hai. Iss sey shoruu main aam toor par data aik jagha sey dosri jagha muntaqeel karney ka kam lya ja ta ha lekin ab inn sey data muntaqeel karma bhi mumkin nahi hai kun key aj ki multimedia dunya main agar kisi picture ko aik jagha sey dosri jagha copy karna chahain gey to picture ki aik file key lye hosakta hai darjan bhar Floppy’s ki zarorat parey . Aik standardfloppy disk ki isstadad 1.44 mega byte hoti hai. Jo key size main 3.5 inch hoti hai. Iss sey pehley 5025 inch ki floppy’s hoti rahi hain jinn ki isstadad 1.2 mega byte hoti thee. Inn key liye jo driver isstamal hoti thee iss ka size bhi bara hota thaa jitna size aaj kal CD room driver ka hai taqreeban itna size hota tha.
Floppy ka dosra maqsad jis ney aaj tak ussey bacha-ye rakha thaa wo ye key iss sey system disk ya jisey huroof aam main boot able disk kehtain hain banaye jati thee. Iss key zarye system main kisi kharabi ki surat main computer ko boot karney ka kam liya jata thaa. Lekin naye operating system aaney sey ye kam bhi khatam hogaya windows millennium addition aur windows 2000 main sey dos ko mu-kam-mal toor par kharej kar dya gaya hai. Ab inn dono operating systems main dos mod nahe hai. Agarcha iss maincommand permot hai aur issey excess main shamil kya gaya hai es ki madad sey dos environment main chalney waley program chalaye ja saktey hain lekin chand dos program aisey hain jo mohiz command permot key zarye nahe chaltay. Inn key lye dos mod main jana zarori hota hai. Aisey programs ki mu-kam-mal toor par chuti hogaye hai. Chun-key inn operating systems main dos key tamam function nikaal diye gaye hain iss liye computer ki dunya main aaney waloon key lye dos ki commands yaad kar-na zarori nahi hai. Iss cheez ko sakht tanqeed ka nishana banya gaya hai kyun key ab tak aisey programs ki aik bari tadad mojood hai jin key liye dos mod zarori hai. Inn programs main dosri kamzori ye hai key aap boot able disk nahi bana saktey. Windows Me main standard boot able floppy isstamal na karsakney ki waja ya hai key remover hojaney wali devices key lye SYS command ko na-qa-bil-e-amal bana diya gaya hai. Ab system files sirf hard disk par transfer ki jasakti hain. Windows 2000 main boot able disk ka sirey sey koe tasaver he nahi hai.
Inn cheezon ko dikhtey hoye kaha ja-sakta hai key mustaqbil key computer floppy drive sey bey nyaaz hon gey. Iss key mutabadil key toor par zip drives isstamal ki jaskti hain jis key media ka size bhi 3.5 inch hota hai lekin ye floppy sey taqreeban soo guna ziada isstadad ki hamil hoti hai. Maazi main jo kaam floppy sey lya jata thaa ab wahi kaam zip sey lya jasakey gaa. Floppy drives key mukamal toor par khatma ki aik aur waja ye bhi hai key pehley Software inn key upper distribute keye jatain thain iss key liye aaj CD room isstamal hoti hai jo zip drive sey bhi 6,7 gunaa ziada istadad ki hamil hoti hai. Aik myaari 3.5 flopy drive hai.
CD-ROM Drive
CD rom drives aaj ki zarorat hain. Iss ko aik PC ka lazmi hisa tasaver kya jata hai. Iss ki waja ye hai key aaj kal tamam software CD par aa-rahey hain. Iss key elaawa musicsuney aur movies daikhney key lye bhi yahi media isstamal horaha hai. Aik CD 650 mega byte isstadad ki hamil hoti hai. CD key sath rom yaani red only memory key alfaz lagaye jaatey hain. Lekin astal-han ye baat ghalat hogayee hai kyun key CD writer bhi aam mil jatey hain aur aisa media yaani CDS disk bhi aisi hain jin par hard disk ya floppy disk ki taraha bar bar data likha aur mitaya jaskta hai. Inn ki iss khoobi ki badolat inn ki badolat inn ki maqbooliyat main bohut ziada izafa hoa hai. Aam disks yaani hard disk aur floppy disk key bar-aks jin main aik electromagnetic red / write head isstamal hota thaa CD key liye laser technology
Sound Card
Sound card ka taluq zahir si baat hai Soundkey saath hai. Agar kisi PC key zarye sound files play karma hoto iss main sound card lagana zaroori hota hai. sound card key baghair sound play nahi hota. Baaz motherboard aisey hain jin main sound Built-in hota hai yaani board key upper he sound card bhi laga hota hai aur alag sey inn main sound card laganey ki zarorat nahi hoti. Lekin jin motherboard par sound card Built-in nahi hota inn main sound card lagana zarori hota hai. sound card ka kaam digital signals ko sound views main tabdeel kar key normal speacker sey sunana hai. Sound recording key liye bhi sound card hi use hota hai.
Fax Modem Card
Internet aaj ka maqbool tareen media hai. Information technology ki aslaah aaj children’s ki zubaan par hai. Huraf ‘E’ iss keyliye makhsus hogaya hai. E-mail, E-commerce, E- banking, internet shoping jaisey kaam shoro hochukey hain. Internet sey connect honey key liye PC key under aik fax modem card jesey baaz awoqat sirf modem he kaha jata hai nehayat zarori hai. Modem ka kaam A-D ya D-A hota hai yaani ye Analog signal ko digital code aur digital code ko analog signals main tabdil karta hai. Modem ka rabta internet ki dunya sey phoneline key zarye hota hai. Ye computer data ko telephone lines key zarye dunya key kisi bhi Country bheja jaskta hai aur data wasool bhi karskta hai. Agar aap internet isstamal karma chahtey hain to aap key liye modem zarori hoga.Baaz motherboards aesey hain jinn par built-in modem nahi hota inn main alag sey modem lagana parta hai. Modem do tarha key hain. Aik external jo key system unit key under he board par lagaye jatey hain yaani inn ko laganey key lye ISA ya PCI Slit isstamal hoti hain aur dosrey external jinn ko bahir sey system unit key saath mun-sa-lik kya jata hai. Jo amoman serial port par lagtey hain aik modem card yani Internal modem card hota hai.
No comments:
Post a Comment