No-e-yat aur sakht ke aytabar se computer ki 4 aiqsam hain. Her qism alag alag maqaasid ke husul ke liye istamal hoti hai.
Main Frame
Main Frame ka shumar sab se mehangay computer me hota hai. inhain kharedna, chalana, in ki dekh bhal kerna aur inhain operat kerna, garz sabhi kam mehnge hain. In ka istamal aam tor per is jaga hota hai jaha kai zarye se data in put ki bari maqdar hasil hoti hai. Bare Bare maleyati adarye apne rozmarrah hisab kitab ke leye inhe istamal kerte hain. Main frame ki istadad ka andaza is bat se lagaya ja sakta hai ke in ki ibtada giga bit se hoti hai aur tera bit tak data to in me aam istamal hota hai.ek waqt aesa tha jab in ki shanakht corporate business ke sath thi. Karobari adarye apni information ki zaroreyat ke leye inhi per inhisar karte hai. Laykin micro computer ki takat aur karkurdagi me izafay ki badolat main frame computer ka kerdar daramai andaz me tabdel howa hai.
Is kisim ke computer kasir-ul-maksad aur ousat size ke hote hai. In ko is tarah design kia jata hai ke bohat se loge ek hi waqt me istamal ker sakte hai. Mini Computer bhi is tarah kam kerte hai jis tarah main frame kerte hai. Agar in me kuch ektalaf hai to wo istamal kunan-da-gan ki tadad hai. Ek Mini Computer istamal kerne walo ki tadad main frame istamal kerne walo se bohat kam hoti hai. Ta*-hum ye darmiyane darjey ki Companies aur bari Companies ke infradi shoboon ki zaroriyat puri ker sakti hai.
Mini Computer
Is kisim ke computer kasir-ul-maksad aur ousat size ke hote hai. In ko is tarah design kia jata hai ke bohat se loge ek hi waqt me istamal ker sakte hai. Mini Computer bhi is tarah kam kerte hai jis tarah main frame kerte hai. Agar in me kuch ektalaf hai to wo istamal kunan-da-gan ki tadad hai. Ek Mini Computer istamal kerne walo ki tadad main frame istamal kerne walo se bohat kam hoti hai. Ta-hum ye darmiyane darjey ki Companies aur bari Companies ke infradi shoboon ki zaroriyat puri ker sakti hai.
Super Computer
Super Computer se murad ek aesi khsosi machine hai jo is tarha design ki jati hai ke hosh-ruba raftar se processing ka amal ker sake. Kam kerny ki taiz-tareen raftar ke ba-es hi esye super Computer ka naam dia gaya hai. Es sey aam tor per data ki aesi bari maqdar ko process kerne ka kam lia jata hai jis tarah lakho ki tadad me calculation kerne ki zarorat hoti hai. Jesye mosamon ki payshangoe waghera. Main Computer ke ber-aks super Computer ek waqt me ek hi kam kar sakta hai.
Micro Computer:
Ek aam P.C ya personal Computer ko micro computer kehte hai. Ye category is qadar wassi hai ke is me bohat kisim ke computer shamil hai. Bunyadi tor per micro computer se murad ek chota ya light computer lia jata hai. In ki mazid do kisim wazahat ki ja sakti hai.
(1) Desktop
Desktop se murad micro computer hai jo desktop per rakh ker istamal kiya jata hai. Es qisim ke computer ko mustakil tor per ek hi jaga rakha jata hai.aur aam tor per is ke sath 14 ya 15 inch ki screen, floppy driver aur hard disk istamal hota hai. Es ke C.P.U ki speed ko GiGa hurts me napa jata hai aur hard disk ki Estadad ko GiGa bit se napa jata hai. Desktop computers ki istadad kaar me roz ba roz behteren hoti ja rahi hai aur ya karoobari aur samaji zindagi ke her shoby me ahameyat hasil kerta ja raha hai. Desktop ki ek aur shakal hoti hai jis me system unit ko monitor ke niche nai rakha jata balke is ke pehlo me rakha jata hai. Ya bhi aik aytebar se desktop hi me aatay hai laykeen in ko mini tower ya tower kay naam se bhi pukara jata hai.
(2) Laptop
Laptop es computer ko kaha jata hai jis ko lap me rakha ja sake. Laptop ko aksar battry se current di jati hai. Es ki screen briefcase ke balai hise ki tarah es ke sath hi lagi hoti hai. Ebtadai laptop is kadar wazni hote the ke agar inhe ziyada dair tang per rakha jae to tang sun hojae laykeen ab halki phulki laptop aa rahi hai. Laptop k ek chotey version ko note book kaha jata hai ye takreban haqiqe note book ki size ke hote hai aur in ko ba-aasani ek briefcase me rakha ja sakta hai. Micro technology me bari tazi se tabdeli aa rahi hai cheezein choti se choti hoti ja rahi hai ab hatheli ke size ke computers aam tor per istamal hone lage hain in ko palmtop kehte hai. ye bunyadi tor per ek dairy ki tarah istamal hote hai jin me roz-marah ammor ki tafseel aur telephon numbers rakhe ja sakte hai in ko persnol digital asstant ya PDA kaha jata hai.
Terminal and Docking Station
Terminal:
Computer ke hawale se ek aam lafz terminal sun-ne me ata hai yaad rakhein ke terminal se murad inputperifrl devices hai jinhe aagay kisi computer ke sath lagaya jata hai aam tor per terminal ek screen aur ek board per mushtamil hota hai, in ka kaam sirf input hasil kerna aur input data ko computer tak pochana hota hai. Computing ke amal me is ka koi kirdar nahi hota kun ke ye demagh se aari hota hai ya processing ke mutalik tamam kaam main computer ko bhejta hai jo kisi dosre jaga rakha hota hai ta-hum jab terminal ko 2x2 kerne kehte hai to terminal ye sawal computer ko bhejta hai aur waha se wo sawal process ho ker jawab ki sorat me terminal me zahir hota hai.
Docking station:
Docking station is unite ko kehte hai jo intaqal pazir (portable) computers jese laptop aur note book ko desktop me tabdeel kerta hai Portable computer ko is unite se munsalik kia jata hai aur is ke sath external ki board, bari screen, power supply aur aksar awqat ek mouse bhi laga dia jata hai umda kisim ke section net working ki saholat bhi fraham ker sakte hai. Ek docking station ke baes mobail computer ke intaqal pazir aur desktop ki karkerdagi back waqt hasil ki jati hai. Aksar log jo apne hamrah laptop ya note book rakhte hai wo ghar aur daftar dono jaga docking station istamal karna pasand kerte hai

No comments:
Post a Comment