PERSONAL computer jise hum P.C kehte hain computer ki wo qisim hai jo sab se ziyada istamal ho rahi hai. Gharon, daftaron aur karobari jaghon per in ke istamal main roz-ba-roz izafa horaha hai. Is ki kahani bari munfared aur dil chasp hai. Ye kamyabiyon aur nakamyon ki ek naqabil-e-framosh dastan hai. Is ke hawale se bohat se aese log manzar-e-aam per aaye jin ko puri dunya janti hai aur jinhe waqai dolat, shorat aur izat nasib hoi.
Sub se pehela personal computer Altair (Mits Altair) tha. Ye 1975 main banaya gaya layken ye ek bari simachine the is me na tu koi key board tha aur na hi screen thi. is ke bajae mukhtalef kisamo ke switch aur dail the is ko dekhne ke bad do shaksh ne personal computer banane per kamar bista hogaye. In dono kay name STEVE tha. APPLE ke naam se in ka personal computer 1977 me samne aya.1981 ke mosam-e-garma main I.B.M ne apni personal computer ka elaan kiya. Is se pehle market me sirf APPLE compter dastiyab tha. APPLE computer zati istamal ke leye 1977 me samne aaya aur key board aur screen kay aasan istamal ki badolat inhe bari kamyabi haseel hoi. Pehle APPLE computer jis ke naam APPLEi tha commercial tor per kamyabi hasil na hoi layken APPLEii ne jald hi market me apna muqam bana liya. Darasal ye do chezon ka majmuaa tha ek to APPLEii computer aur dosri chez wo software tha jo is ki kamyabi ki zamanat bana. Visicalc kay naam se ek capered sheet program tha jis ne karobari tabqe ki tawaja haseel kerli aur APPLE computer market me kamyab ho gai. Layken jab I.B.M ka personal computer market me aya to is ne sirf 18 years ke qalel arsay main sab se ziyada share haseel ker le is se bhi ziyada important baat ye hai kay I.B.M ki machine industary ka meyaar qarar paie.
Is machine ki numaya khsosiyat main 80 chractor screen line, mukammal upper aur loyar case ki board aur ezafi memory lagane ki saholiyat shamil thi. Is ke elawa I.B.M ne interal expansion slots ki saholiyat bhi farham ki jis ki badolat degar menufacturals ke leye bhi kam kerne kay mawaqey peda howe aur inho ne I.B.M machine ke leye peripheral devices banana shoro ker diya.
I.B.M ne apni machine ke leye digar logon ko bhi maad-o kiya. In hon ne mukhtalif companies ko hardware aur software ki list faraham ki jo in ki machine ke leye products tayar kerna chahe ker sakta hai. Agar-cha ye products tayar kerne walon ko bhi fawaid haseel howe layken in ke badolat bil-wasta tor per I.B.M ke P.C ki talab me izafa howa aur is tarah nai companies bhi I.B.M ke farogh mai madadgar sabit hoi.
P.C ko tyar kar ne kay leye hardware ki koi pabandi na thi aur is me ghair mulki pur-zay lagaye gaye yani ye kisi khas juz ka paband nahi tha isi saholat ke ba-es digar companies ne bhi P.C standerd ke mutabik machine tyar kerni shiro kar diye. Inhain istalahan P.C se mutibikat rakhne wale computer ya clones ka naam daya gaya. In computers per wo tamam programs install ho sakte hai jo I.B.M ke P.C per chalaye ja sakte hain. Aj kal ke maroof manufacture example compac, dell, getway waghera jo machine banna rahe hain wo sub I.B.M ki clones hai. Is ke elawa wo computer bhi in me shamil hai jo Pakistan main muqami satah mukhtalif hardware ke imtazaj se isam-bal kiye ja rahe hain. Darasal personal computer ki market me yehi clones he chaye howey hain aur I.B.M ka sirf naam is se kahin ziyada hai jitney is ke P.C is waqt market me hain.
Computer industary ki tarekh main markaz nigah taizye se badalta howa hardware hi raha hai lakeen ab P.C ki tarekh main software ko bhi khas hesiyat hasel hogai hai. Software ki duniya per is waqt Microsoft corporation ka qabza hai. Microsoft ne hi pehle pehal asli I.B.M computers ke leye M.S-DOS kay naam se operating system faraham kiya. Ye operating system zahir hai I.B.M ki clones per bhi istamal ho sakta tha is leye jese jese P.C ko farogh mila isi rafta se Microsoft corporation ne bhi taraqei ke madarej tey kiye. Ek choti si company ab ek bohat bari software state ban choki hai. Operating system ki dunya ab tak koi company is ka muqabla nai ker saki. Is ne bohat zabardast qisim ki operating system windows ki series ki sorat me computer industry ko diya.
Windows opreting system jin computer per istamal hote hai in me ziyada ter INTEL corporation ke processor istamal howe, in dono ke imtazaj se ek naya naam WINTEL wajood me aya aur inho ne mil ker P.C ko duniya ka maqbol tareen computer bana diya, ab hardware aur software ki takhses yehi dono companies kerti hai.
ab Bill Gates abhi af-wan shabab mai tha esy computer key sath dilchaspi ho gai. Es key waldain esy qanon-dan bana-na chahty thain lykin jab in ki khahish per bill apney diwangi ki had tak pay jane waly shoq ko kher-bad keh kar 1974 main Harwood chala gaya to enhain waqae herat hoi. Bill Gates ney University join karne ke bad apne shoq ko mukammal tor per kher-bad nahe kaha balke hafty ke ekhtatam per wo apne dost Paul Allen key yahan chala jata aur dono dost mil-kar aik personal computer key bary mai khab dekhty rehty jis ka us waqt wajod tak na tha. Jab MITS Altair, pehla personal computer January 1975 mai farokht key liye market kiya gaya to Bill aur Paul dono esy qareeb sey dekhny ke liye gay aur apne nisab key sath sath es key liye kaam karney ka mansoba bhi bana liya. Agarcha dono ney milkar MITS ky liye aik software tayar kiya lekin es key haqoq apney pas he rakhain aur aik company ki bunyad rakhi jisay Microsoft ka naam diya gaya.
Jab MITS na-kam ho gaya to Bill Getts aur Paul apni company ko Washington ley gay. 1980 mai in key company mulazmin ki tadad 32 thi. Es waqt IBM abhi personol computer ki dunya mai nai ward honey wali company thi leykin Bill Getts risk leny sey zara bhar bhi na hich-kichaya es ney pehly sey tayar shuda aikoperating system kharida aur es ko nay sery say tayar kar key MS-Dos yani disk operating system ki sorat mai new operating system tayar kar diya. Yahe wo product thi jis ne Microsoft corporation ko baam urooj tak pohcha diya aur aaj her soo es ka danka baj raha hai.
Sub se pehela personal computer Altair (Mits Altair) tha. Ye 1975 main banaya gaya layken ye ek bari simachine the is me na tu koi key board tha aur na hi screen thi. is ke bajae mukhtalef kisamo ke switch aur dail the is ko dekhne ke bad do shaksh ne personal computer banane per kamar bista hogaye. In dono kay name STEVE tha. APPLE ke naam se in ka personal computer 1977 me samne aya.1981 ke mosam-e-garma main I.B.M ne apni personal computer ka elaan kiya. Is se pehle market me sirf APPLE compter dastiyab tha. APPLE computer zati istamal ke leye 1977 me samne aaya aur key board aur screen kay aasan istamal ki badolat inhe bari kamyabi haseel hoi. Pehle APPLE computer jis ke naam APPLEi tha commercial tor per kamyabi hasil na hoi layken APPLEii ne jald hi market me apna muqam bana liya. Darasal ye do chezon ka majmuaa tha ek to APPLEii computer aur dosri chez wo software tha jo is ki kamyabi ki zamanat bana. Visicalc kay naam se ek capered sheet program tha jis ne karobari tabqe ki tawaja haseel kerli aur APPLE computer market me kamyab ho gai. Layken jab I.B.M ka personal computer market me aya to is ne sirf 18 years ke qalel arsay main sab se ziyada share haseel ker le is se bhi ziyada important baat ye hai kay I.B.M ki machine industary ka meyaar qarar paie.
Is machine ki numaya khsosiyat main 80 chractor screen line, mukammal upper aur loyar case ki board aur ezafi memory lagane ki saholiyat shamil thi. Is ke elawa I.B.M ne interal expansion slots ki saholiyat bhi farham ki jis ki badolat degar menufacturals ke leye bhi kam kerne kay mawaqey peda howe aur inho ne I.B.M machine ke leye peripheral devices banana shoro ker diya.
I.B.M ne apni machine ke leye digar logon ko bhi maad-o kiya. In hon ne mukhtalif companies ko hardware aur software ki list faraham ki jo in ki machine ke leye products tayar kerna chahe ker sakta hai. Agar-cha ye products tayar kerne walon ko bhi fawaid haseel howe layken in ke badolat bil-wasta tor per I.B.M ke P.C ki talab me izafa howa aur is tarah nai companies bhi I.B.M ke farogh mai madadgar sabit hoi.
P.C ko tyar kar ne kay leye hardware ki koi pabandi na thi aur is me ghair mulki pur-zay lagaye gaye yani ye kisi khas juz ka paband nahi tha isi saholat ke ba-es digar companies ne bhi P.C standerd ke mutabik machine tyar kerni shiro kar diye. Inhain istalahan P.C se mutibikat rakhne wale computer ya clones ka naam daya gaya. In computers per wo tamam programs install ho sakte hai jo I.B.M ke P.C per chalaye ja sakte hain. Aj kal ke maroof manufacture example compac, dell, getway waghera jo machine banna rahe hain wo sub I.B.M ki clones hai. Is ke elawa wo computer bhi in me shamil hai jo Pakistan main muqami satah mukhtalif hardware ke imtazaj se isam-bal kiye ja rahe hain. Darasal personal computer ki market me yehi clones he chaye howey hain aur I.B.M ka sirf naam is se kahin ziyada hai jitney is ke P.C is waqt market me hain.
Computer industary ki tarekh main markaz nigah taizye se badalta howa hardware hi raha hai lakeen ab P.C ki tarekh main software ko bhi khas hesiyat hasel hogai hai. Software ki duniya per is waqt Microsoft corporation ka qabza hai. Microsoft ne hi pehle pehal asli I.B.M computers ke leye M.S-DOS kay naam se operating system faraham kiya. Ye operating system zahir hai I.B.M ki clones per bhi istamal ho sakta tha is leye jese jese P.C ko farogh mila isi rafta se Microsoft corporation ne bhi taraqei ke madarej tey kiye. Ek choti si company ab ek bohat bari software state ban choki hai. Operating system ki dunya ab tak koi company is ka muqabla nai ker saki. Is ne bohat zabardast qisim ki operating system windows ki series ki sorat me computer industry ko diya.
Windows opreting system jin computer per istamal hote hai in me ziyada ter INTEL corporation ke processor istamal howe, in dono ke imtazaj se ek naya naam WINTEL wajood me aya aur inho ne mil ker P.C ko duniya ka maqbol tareen computer bana diya, ab hardware aur software ki takhses yehi dono companies kerti hai.
Bill Gates
Jab MITS na-kam ho gaya to Bill Getts aur Paul apni company ko Washington ley gay. 1980 mai in key company mulazmin ki tadad 32 thi. Es waqt IBM abhi personol computer ki dunya mai nai ward honey wali company thi leykin Bill Getts risk leny sey zara bhar bhi na hich-kichaya es ney pehly sey tayar shuda aikoperating system kharida aur es ko nay sery say tayar kar key MS-Dos yani disk operating system ki sorat mai new operating system tayar kar diya. Yahe wo product thi jis ne Microsoft corporation ko baam urooj tak pohcha diya aur aaj her soo es ka danka baj raha hai.
No comments:
Post a Comment