Translate

.

Sunday, 6 May 2012

Corel Draw 1

Corel Draw design ka software hai jis maihum apni marzi se kisi bhi tarha ki designing kar sakte hai. Maslan, logo designing, visiting card designing, eid card making, pattern making, letter head aur calendar waghera hum apni marzi se bana sakte hain. Corel Draw aik aesa software hai jo Raster aur Vector dono tarha ki graphics ko support karta hai. Graphics do tarha ki hoti hai.

1. Vector

2. Raster

Vector Graphics:

Ye aesi graphics hoti hai jis mai Objects “Dots” ki madad se bante hain aur Dots kisi bhi line ka chote se chota hesa hota hai. Vector Graphics mai tamam objects line ke zarye bante hain aur en objects ki ye sab-se badi khobi hoti hai ke aap en objects ko jo Dots per Base karte hain jetna bhi bada kar-lain objects kharab shakal mai nazar nahe aaye ge.

Raster Graphics:

Ye aesi graphics hoti hai jis mai tasverain to tasverain objects ya text bhe Pixels per base karte hain. Aur pixels kesi bhe tasveer ka chote se chota hisa hota hai matlab zar-ra hota hai. Jis ko agar khecha jaye to aik waqt aaye ga ke eski shakal bigad jaye ge aur tasveer phati hoi nazar aaye ge aur pixels aik aesa zar-ra bhe hai jis mai do se zyada rang hote hain jes ki wajha se es object ka wazan aik vector graphics ke object se bhari hota hai. Rastor Graphics per Corel Draw mai kaam jab kiya jata hai jab humain koi web page banana ho ya tasveeron main color per kaam karna ho ya en mai aesey

Effects dene ho jis se tasveer dekhne mai khobsorat nazar aaye. En graphics mai rango ka bohat khayal rakhna padta hai.

CorelDraw mai bhe dosre software ki tarha page per kaam kiya jata hai. Corel Draw mai Page per kaam karne se peh-le hum page ka size, Type aur Landscape ya Portrait bhe kar-sakte hain. Property Bar mai ja kar. Sab se peh-le hum Tools ka astamal sekhain ge. Humain mukhtalif chezain bana-ne ke liye mukhtalif Tool se kaam karna padta hai jo humain Tool Box main milte hain.

Pick Tool Shape Tool Knife Tool and Eraser Tool

Pick Tool:

Pick Tool ki madad se hum kesi bhe Object, Picture ya Text ko aik jagha se dosri jagha le ja sakte hain. Es tool ki madad se hum kesi bhe cheez ka size chota bada kar sakte hain. Ya pher esey rotate kar sakte hain. Pehley aik object bana kar pick tool pr click karain aur object per mouse lain aur size ko chota bada karain.
Note: “space bar + ctrl” e ski short key hai.

Shape Tool:

Shape tool ka kam kesi bhe object ya text ka shakal tabdel karna hai.

Knife Tool:

Knife tool ki madad se kesi bhe object ya text ko kesi bhi shakal mia kaat sakte hain. Es tool per kaam karne ke leye zarori hai ke hum apni matloba object ko select karain.

Eraser Tool:

Eraser tool ka kaam kesi bhi object ko mitana ho ta hai. Es tool ki shakal aur size mai property bar ke zarye tabdeel bhi kar sakte hain.
Free Transform Tool Zoom Tool and Hand Tool

Free Transform Tool:

Free transform tool kesi bhi object ya text ko rotate karne ke kaam aata hai.

Zoom Tool:

Kesi bhi cheez ko bada kar ke dekhna ho to zoom tool per click karne ke baad mouse click daba kar rakhain aur mouse ko nichey le kar aain ya oper yani es object ke oper zoom tool ki madad se window banain ta ke woe s object ko bada kar ke dekhaye. Kesi bhi object ko select karne ke baad F4 dabane se vo object bada kar ke dekhaye ga. Aur agar object ko apni asal haalat mai vapus laana ho to es ke liye shift button daba kar rakhain aur F4 dabain ta ke vo apni asal haalat mai vapus aa jaye.

Hand Tool:

Hand tool ki madad se page ko ba-a-sani edhar odhar oper niche move karwa sakte hain.

Free Hand Tool:

Agar aap ko apne page main aik sedhe line banani ho to aap tool boox mai se Free Hand Tool per click karain. Es ke baad page per mouse laa kar mouse click daba kar rakhain aur line banain agar aap ko apni marzi ki line banani ho to aik dafa mouse click kar ke chod dain aur mause se aik sedhi line banain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...