Interactive Drop Shadow Tool
Aggar kise object ya text ka shadow yani saya dena ho to es tool ki madad se de sakte hain.
Estamaal (Uses):
1. Sab se pehle aap aik text lekhain.
2. Esey select karain.
3. Drop shadow tool per click karain aur mouse ko text per le kar jain. Click daba kar rakhain aur jes simt mai mouse ko le kar jana hai le kar jain aur shadow banain. Drop shadow tool ko apply karne ke baad property bar se shadow ka color ya opacity kam kar sakte hain
Note: Ye effect hum kise bhi object per bhi la sakte hain.
Interactive Envelope Tool
Aggar aap kesi bhi object ye text ko kise khas point se shape es tarha dena chahain ke es ke points ke darmeyan mai 2 curves aayen ya aik curve aaye pher straight line lana ho to hum es tool ka estamal karte hain.
Estamaal (Uses):
1. Pehley aek text lekhain.
2. Envelop tool per click karain aur text per mouse le jane se pehley property pab mai se double Arc, single Arc aur straight line ka apna matloba option select karain.
3. Text per mouse le ka jain aur kise bhi point se shakal tabdeel karain. Jo envelope tool lene ke baad object per aate hain.
Note: Text ki tarha aap ye option kise bhi object per click kar sakte hain.
Interactive Extrude Tool
Agar aap ko kise object ya text ki teno simt dekhane hon matlab 3D Object banana ho to hum es tool ka estamaal karte hain.
Estamaal (Uses):
1. Aap koi object banalain.
2. Esey select karain.
3. Interactive extrude tool per click karain.
4. Object per mouse le kar aayein aur click daba kar rakhain pher mouse ko kise bhi simt mai le kar jain aur object ko 3D banain. Es object mai shades aur lightingeffects, property bar ki madad se de sakte hain.
Note: Ye affect aap text per bhi bilkul esi tarha de sakte hain.
Interactive Transparency Tool
Agar aap ko aik object key color halkey kar key dosra object ous key pechey sey dikhana chahtey hain to transperancy tool ka isstamal kartey hain.
Uses:
1. Pehley koe bhi object lain.
2. Phir text ko type Karin.
3. Es text ko object key upper la kar rakhain.
4. Text ko select karain.
5. Taransperancy tool par click kar key property bar main sey none key illawa uniform aur linear waghera ko select karain aur apply karain.
Note:
Transperancy key ilawa style tabdil bhi karsaktey hain. Missal aap 2 color patterns, texture wagheera bhi apply karsaktey hai.
Eye Dropper Tool
Aap key pass aik sey zaid object hain aur aap ney kisi bhi aik object main color dya hoa hai aur wahi same color agar aap kisi dosarey object main fill karna chahrahey hain to eye dropper ki madad sey es color ko pic karsaktey hain.
Uses:
1. Kisi bhi object ko select karain.
2. Es main koe bhi color fill kardain.
3. Es key baad eye dropper lain.
4. Aur es tool ko ous object par ley jakar click karain jiss main sey color pic karna ho isstarha karney sey color pic hojaye gaa.
Paint Bucket Tool
1. Ess object ko select karain. Jiss main color karna hai.
2. Tools main eye dropper key baraber main paint bucket tool hai iss par click karain.
3. Es key baad apni matluba object par jakar click kar dain.
Isstarha karney sey aap ka matluba color aap ki select ki hoe object main aajaye gaa.
No comments:
Post a Comment