Translate

.

Wednesday 2 May 2012

Parts of Computer

Ek multimedia machine key under jo chezain darker hoti hain inn key jumla wazahati naam hum zail main dai rahain hain. Inn key illawa bhi kayee izafi cheezain mukhtalif kamoon key lye hoti hain lekin inn ka zikar alag sey karain gay. Fill hal jub aap ek machine bananey ki baat karain gay to iss main darjazail cheezon ko shamil karain gay. Inn cheezon sey ek mukamal machine tyaar ho jaye gee.
Motherboard
Processor
Random Access Memory ya (RAM)
Display Card
Hard Disk
Floppy Drive
CD-ROM-Drive
Sound Card
Fax modem Card
Casing ya dosarey lafzoon main wo dabaa jis main ye tamaam cheezain laga-e jati hain. Iss main power supply bhi lage hoti hai.

Motherboard


Iss ko motherboard iss lye kaha jata hai keytamam ki tamam Devices ya to bara-e-rast iss par lage hoti hain ya phir iss key sath connect hoti hain. Motherboard jo aaj kal key jaded computers key ley aa rahy hain inn main cash ram hoti hain. Processor key lye Socket ya Slot hoti hain. (Slot main lagney key lye processor card ki shakal ka hota hai. Aur iss socket main lagney key lye PPGA processor isstamal kye jatain hain) iss key illawa motherboard key upper ram key liye slots hoti hain jo mukhtalif motherboard main mukhtalif tarha ki hoti hain. Iss ka taluk ram sey hai keyboard par kiss qisim ki ram lagayee jaskti hai. Iss key barey main aagey chal kar ram key tehat malum karain gay.
Inn sub cheezon key ilawa iss main izaafi slots hoti hain jin main (AGP aur PCI, ISA) slots shamil hain. Inn par mukhtalif kisim key card lagay jatain hain. Aagey digar cheezon zikar main aap ko pata chal jaye gaa key konsi cheez kis slot par lagti hai.
Motherboard ki sub sey ehaum cheez iss ka bios hai. Bios dar-a-sal basic input output system ka mukhafaf hai. Ye computer ko chalaney main bunyaadi kirdar ada karti hai. Jaisaa key naam sey zahir hai iss main tamaam cheezon ka record hota hai ke hard disckon si lage hai floppy drive kis kisim ki lagee hoe hai waghera. Iss setting ko tamam waqat mehfooz rakhney key liye iss ko battery sey current farahum kya jata hai. Ye battery sath sath charge hoti rehti hai aur ye jub bilkul jwawab dey jati hai to computer ka paigham aaja ta hai key battery full ho ga-e hai. Iss surat main bios main jo aap ney setting ki hoti hai wo bhi khatam hojati hai aur har dafa computer ko on karney par tamam setting dobara sey karney key zarorat hoti hai.
Market main kuch aisey motherboard bhi hain jin par ka-e tarha key card built-in surat main aatain hain. Jaisey key sound card, display card aur baaz main modem aur LAN card bhi built-in hotain hain. Jub aap market Sir way karain gay to aap ko pata chal jaye gaa kon sey motherboard main kon saa card built-in hai.

Processor


Processor ka kaam Data ko process kar-na hai. Jo koi data input devices ki madad sey computer ko diya jata hai e ski processing ka kam kar key ye moniter per es ka nateja zahir kar deta hai. Es key elawa ye data ko process kar key Output device ko bhejta hai. Iss ko aap computer ka dimagh keh saktey hain. Yahi wo markazi cheez hai jis par computer ki bunyaad hai aur yahi asal main central processing unit hai. Ye motherboard par lagaya jata hai. Pantium 1 series tak key processor kuch iss shakal main ho-tain hain key inn ki aik satah to humwar aur dosri sataha par aik khass tarteeb key sath bohut si pins nazar aati hain. Jin ko motherboard par bani socket main lagaya jaata hai. Ye 7 socket key naam sey bhi jani jati hai. Iss ko thanda rakh ney key liye iss key sath aik cooling fan bhi laga ya jata hai.
Pentium 2 aur 3 key processor card ki shakal main aatain hain. Jub key Pentium 3 main aam riwayati pins waley processor bhi market main dastyaab hain jin ki pins main Pentium 1 ki nisbat tadad main farak hota hai inn key sath heat sinkers lagey hotain hain aur cooling fan bhi laga-ye jatain hain jo inn ko thanda rakhtain hain. Card ki shakal key processor motherboard Slot main laga-ye jatain hain jub key pins waley processor motherboard par aik socket par lag-ey hotey hain. Iss socket ko socket 70 kaha jata hai.
Processor ki astaadad kaar Megahertz aur Gigahertz main naapi jaati hai. Pentium 1 ka aaghaz 100 Megahertz ki speed sey howa. Iss key baad inn main multimedia ki astadad rakhney waley processor aain jin ko (MMX) ka naam diya gaya. Iss series main 133, 166, 200, 233, Megahertz key processor aa chukey hain. Inn processor ko alag current ki zarorat hoti hai jo key motherboard he sey leya jata hai. Saada Pentium 1 ko 3.3 voult current ki zarorat hoti hai jub key MMX processor ko 2.8 voult ki zarorat hoti hai. Iss sey ziada current milney ki surat main inn key jalney ka khatra hota hai. Iss liye jumper setting sey inn key munasib Voltage set karlye jatain hain.
Iss key bad jo processor aain inn ko Pentium 2 ka naam diya gaya. Inn ka agaaz 266 Megahertz sey hota hai. Ye Slot main laga-e janey waley processor hain. Inn main 350, 400, 450 Megahertz speed key processor aa chukey hain.
Iss waqat Pentium 3 ki series chal rahi hai. Iss ka agaaz 450 megahertz sey hoa hai. Ye processor slot ya socket main lagtey hain. Inn main 500, 550, 600, 667, 700, 733, 800, 933 megahertz ki speed key processor aa chukey hain. Pentium 4 abhi market main nayaa nayaa ayaa hai jis ki speed gigahertz sey shoroo hoti hai. Pentium 2 aur Pentium 3 par processor ko alag sey current nahi dya jata balkey ye khud ander main slot ya socket main sey current letain hain ye dar-a-sal palag and play (PNP) Technology key hamil motherboard ki badolat hota hai jo key processor ki clock speed aur es ki zaroorat key Volt khud-ba-khud daikh kar farahum kar daita hai. Processor ki clock speed sey muraad processor ki wo speed jisey hum Megahertz ya gigahertz main naptey hain.
P series key liye iss waqt market main jo motherboard isstamal horahey hain inn main sey chand ek maqbool motherboard darjazal hain
1* 430 Txchipset Pentium MMX
2* CA810 FA
3* DS810 with sound and VGA
4* SR440 Intel Original
5* VC820
6* Intel SE440BX-2with Sound
Pentium ya P series key processor Intel key hain. Iss main aik series Celeron processor ki bhi hain. Inn ka ibteda main zikar iss lye kya gaya hai key Pakistan main iss brand key processor bohut maqbol hoye hain. Iss key sath sath ka-e aur brands key processors bhi market main mil jatain hain jaisey key (AMD) processor hain. Iss main 5K aur 6K key naam sey processor aye hain jo key isstadad kar key lehaaz sey Pii key baraber hain. Yaani ye 500 megahertz speed tak dastiyaab hain. Ye processor bhi PPGA boards par lagaye jatey hain. Yani ye bhi pins waley processor hain.
AMD processor main jaded-tareen processor Athlon series main aayee hain. Inn ke speed ka agaaz 600 megahertz sey hota hai aur inn main 650, 700, 750, 800, 850, 900, 950 megahertz speed key processor dastiyaab hain. Iss key ilawa jaded-tareen processor jis ki speed gigahertz sey shoroo hoti hai bhi market main aachukey hain. Inn ko thanda rakhney key lye bhi het senker aur cooling fan isstamal hotay hain. Inn processors key liye iss waqt market main jo motherboard isstamal horahey hain inn main sey kuch darjazail hain.
GA-5AX Gigabyte Motherboard
GA-SMM Gigabyte Motherboard
Iss key ilawa Acrop, Octek, MSI aur DSC jaissi company key bhi inter aur dosri Companies key liye processor key liye motherboard market main dastiyaab hain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...