skip to main |
skip to sidebar
Connect the Different Connector
Motherboard ko casing key andar nasb karney key baad issey current dainey ka marhala aata hai. Casing key andar aik power supply lagi hoti hai jiss main sey kaafi taa-rain (wire) nikali ga-e hoti hain jiss ki madad sey system unit key mukhtalif hiso ko current diya jata hai. Iss main sey jo connector motherboard par lagta hai wo dosron sey kaafi mukhtalif hai kyun key iss connector key sath sub sey ziada taa-rain (wire) hoti hain. Connector ko ghoor sey daikhain gey to aap aa-sani sey pata chala lain gey key issey motherboard par kahan aur kiss tarha lagana hai.
Ye kabhi galat rukh sey lag hi nahi sakta kyun key is ki sakht he aisi hai key durust simt main he lagaya jasakey gaa. ATX casing main power supply sey nikalney waley connector aur motherboard dono par mush-tarka toor par aik lock sa bana hota hai. Jub connector ko motherboard par lagaya jata hai to ye mazboti sey lock hojata hai.
Casing key front panel sey bhe muktalif taa-rain (wire) nikali ga-e hotin hai jo key motherboard par lagaye jati hain. Inn main power on off button ki cable hai. Iss key ilawa sleep button, Infrared, hard disc LED, re set swich aur speaker ki taa-rain (wire) hoti hain. Front panel par muchk-talif lights key zarye pata chalta hai key system main power aa-ga-e hai..? wagheera. Inn lights ki taa-rain (wire) inhi main shamil hain. Iss key ilawa in main iss button ki taar bhe hai jiss sey power on off ki jati hai aur system ko zarorat parney par restart bhe kya jata hai.
Ye tamam taa-rain (wire) lagana bohut aasan hai. Har tar key aagay baney connector ko motherboard par laganey key liye aap ko tamam alamtain bta-rahe hain taa-key inhain laganey main aap ko koi dushwari paish naa aaye. Aik to har connector key upper barik alfaz main likha hota hai key ye kiss cheez ka connector hai. Dosrey myaari motherboard par jahaan ye connector lagaye jatey hain wahan har cheez ki wazahat ki gaye hoti hai.Motherboard key upper inn connector ko laganey key liye pins bani hoti hain aur in key sath baarik alfaaz main print kiya gaya hota hai key kon si pins par kon sa connector lagana hai. Humarey iss motherboard main aaisa he hai. Taa-hum agar aap koi aisa motherboard jiss key upper in key barey main print nahi kya gaya to bhi koi baat nahi. Kyun key ab takkoi aisa motherboard nahi aaya jiss key sath letrature naa ho. Motherboard key sath aaney waley kitabchaa main laazmi toor par diagram bana diye gaye hotey hain jin par tamam cheezon ki wazahat ki ga-ei hoti hai. Agar aap key motherboard par bhi in cheezon key naam print nahi hain to iss key sath aaney waley kitabchey sey madad ley kar pata chala lain key kon si pins par kon sa conector lagna hai.
Hum shayed pehley bhi bata chukey hain key jub aap hardwear kharidain to tamam cheezon key sath aaney waley letrature ya kitabchey zaroor hasil karain. Iss key ilawa aj kal taqreeban har cheez key driver bhi sath aatey hain. Apney dokandar sey tamam driver bhi talab karain. Inn cheezon ko sambhal kar rakhdain kyun key kayee jagho par inn ki zarorat paish aaskti hai. Motherboard key front penal sey tamam connector matluba jagho par laga kar ache tarha itminaan kar lain.
No comments:
Post a Comment