Translate

.

Sunday 6 May 2012

Corel Draw 3

Polygon Tool

Polygon tool ki madad se panch kinaro vali shape bana sakte hain. Esi tool ki madad se star bhi bana sakte hain.

Estamaal (Uses):
1. Polygon tool per click karain.
2. Property bar mai se polygon ki shape per click karain aur es ki jetni bhi sides aap ko chaheye vo bhi batain.
3. Pher page main mouse la kar banain.
Note: Property bar se star ki shape ko select kar ke esi tareqe se aap star bhi bana sakte hain.

Spiral Tool

Spiral tool ki madad se hum esaye curves bana sakte hain jo circle ki shape mai dekhai dete hain.

Estamaal (Uses):
1. Tool box mai se spiral tool ko select karain.
2. Property bar mai se Number of Rotations dain ke aap ketni dafa spiral mai curves bana chahte hain.
3. Page per mouse la kar click daba kar rakhain aur Drag karain jo aik gool ghomti hoi shakal mai nazar aaye ga. Jetna bhi bada spiral aap ko chaheye aap Mouse Drag kar ke bana sakte hain
Agar aap Spiral per Text lekhna chahte hain to
Pehle Spiral banain aur esaye select karain.
Tool box mai se Text Tool ko select karain.
Ab Spiral per Mouse le kar jain aur Sprial ki line ke balkul oper click kar dain.
Text lekhna shoru karain to Text aap ko Spiral ki shakal mai lekha howa nazar aaye ga.

Graph Paper Tool

Aggar aap ko Page mai Calendar vaghera banana ho ye Table banana ho to Graph Paper Tool ka estamaal karain.

Estamaal (Uses):
Tool Box main se Graph Paper Tool pe Click karain.
Property bar mai se jetne Columns aur Rows dene hain vahan Number lekhain.
Mouse ko Page per la kar Table bana-e-ye. Jab bhi hum es Table mai Color Palettes mai se Color karain ge to pore Table mai aik he color hoga.
Her khane mai alag Color kar-ne ke leye Table ko Select kar ke Right Click karain aur Ungroup per Click karain.
Selection Khatam karain aur alag alag Select kar ke her kha-ne mai alag alag rang bharain.

Rectangle Tool Elipse Tool

Agar page mai Squre ya Rectangle banana ho to Ractangle Tool per click karain aur page mai mouse click daba kar rakhain aur banain. Agar Square ko Center se banana ho to Ctrl+Shift ko daba kar rakhain aur mouse click bhi daba kar rakhain. Square ka size dena ho to Property Bar mai se Size, Rotation, Comers aur Outline ki motai waghera dey sakte hain.
Elipse Tool:
Agar page mai Circle ki Shape banani ho to hum Elipse Tool ka estamaal karte hain.
Estamaal (Uses):
1. Tool box mai se Elipse Tool per click karain aur agar pora gool circle banana ho to Ctrl+Shift daba kar rakhain aur mouse se Circle banaye.
2. Circle banane ke baad property bar mai se sercile ki shakal bhi tabdeel kar sakte hain aur Pie aur Arc jesi shakalain bana sakte hain.
3. Es ko banane ke baad chota ya bada karna ho to Shift daba kar rakhain aur mouse se size chota ya bada karain ge.
Aggar circle per text likhna ho to
Pehley circle per click karain.

Phir text per click karain aur bilkul circle ki line per click kar ke likhna shuro kar dain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...