Jiss casing main plate bahir nikal aati hai iss main plate par motherboard ko mount karneykey baad jo akhri cheez plate bahir he rakhtey howy lagaye jaskti hai wo RAM Module hai.
Iss missal main 64 MB ka aik Module isstamal kya jaraha hai aur motherboard par ram key liye teen bank hain. Inn key number balatarteeb 0,1,2 hain. Aam toor par agar aik hee RAM Module isstamal horaha hoto issey pehley bank main lagaya ja-ta hai. Agar tarteeb ka khayal na rakha jaye to baaz motherboard main computer thek tarha sey boat nahi hota. Isslye aadat bana layni chahye key agar aik hee Module hai to issey bank number 0 main hee lagaya jaye.
RAM laganey key bhe wahe asool hain jo processor key tehat bayaan hoye hain. RAM Module main aik taraf pins hongi jin ko slot mian phansaya jata hai. RAM key upper do jagha par kit baney hoye hain. Nechey jo slot hai iss main inn kaati hoe jaghoon key mutabiq ubhaar ya rookawatain bani hoi hain. Inn ko daikh kar ap andaza karsktain hain key RAM ko kis simt main lagana hain. RAM ko laganey key liye banaye janey waley banks ya slots key dono supports bani hoi hain. Processor ki tarha ye na to alag sey aati hain aur na hi motherboard par lagaya jata hai bal-key ye pehley hi sey fix hoti hain. Jab RAM ko slot main betha dya jata hai to dono atraf main lagi hoi ye supports lock hojati hain.
RAM ko bhe laganey main wahee asool mad-e-nazar rakhna zaroori hai jo processor ko laganey mai bataye gaye hain yaani iss ko matwazi andaaz main iss tarha nechey ki simt dabain key dono taraf sey iss par aik jaisa dabao paraey. Kisi bhi taraf ye na to ziada uthi ho aur nahe ziada jhoki hoi hoo. Agar iss ko laganey main ehtiyat na ki jaye to nuqsan honey ka imkaan mojod rehta hai.
RAM ko laganey key baad iss plate ko casing key andar fix karney ki baari aati hai. Iss plate ko casing key andar laganey key liye chand cheezon ka khayal rakhna bohut zarori hai. Aik to ye key motherboard ko plate par isstarha lagaya jata hai key jub iss plate ko dobara casing main lagain to iss ports main jiss ports main mouse, keyboard ports, serialaur parallel shamil hain in ka rukh casing ki pechli janib ho. Ye baat pehley bhe bata-e ja chuki hai key plate ko nikaltey waqt iss bat ka dheeyan rakhain gey key ye kiss rukh lagi hoi thi. Aur iss key hisab sey motherboard ko iss par mount karain gey to kisi kisim ka fikar baaki nahe rahey gaa aur motherboard par processor aur ram laganey key baad jub iss ko wapis casing main laganey lageyain to aankahin band kar key tamam ports ka rukh pusht ki janib kar key laga saktey hain. Casing ki pechli janib in ports key liye pehley he sey jagha bani hoti hai lekin casing main in jaghoon par steel ki plates aar-zi toor par lagai gai hoti hain jinhain ba-asaani thorasa dabao dal kar nikala jaskta hai.
Plate ko essi position par casing kay andar betha kar jiss position par wo nikaley jaaney sey pehley thi paich laga dain ya agar lock hai to lock laga dain. Ab baaki tamam cheezain iss ko casing main laganey key baad lagaaye jain.
No comments:
Post a Comment