Translate

.

Wednesday, 2 May 2012

Component of Computer

Aaj se 15 years peche chale jain to jo computer hamain ma-ya-sar the wo intehaye sada the for example XT processor ke hamil computers me giney chuney ajza hote the jese ek mother board, ek display card, ek i/o card aur ziyada se ziyada 2mega bit ram ke sath tashkeel pane wali ye machine ager-cha aj ke dor ke mutabeq bohat mehdod istadad ki hamil thi layken is waqt in ki hesiyat bhi inkalabi machines ki sit thi. Ek mechanical type writer ya ek electronic type writer se behter kam baher-hal in main bhi ho sakta tha kun ke ye machine word processor ki badolat editing ki behter saholeyat farham kerta hai.
Is ke bad AT machine ka dor aya. Es me pehli machine 286 aur phir 386 ke naam se aye. In me windows ke ibtada-e version install ho sakte the aur window ki badolat in me mouse ka istamal bhi mumkin ho gaya. Es leye in ke kam kerne ke tareke aur raftar me bhi khatir-kha farq para. Es ke bad 486 ka dor aya. Ye 66 se le ker 100 mega hertz ki machine apne se pehle mojod machines ki nisbat ziyadah fa-al thi. Ye apne dor ki inkalabi machine is leye kehla sakti thi ke in mein multi media machine ka agaz howa. Aaj agar-cha ziyada arsa nahi guzra layken computer ki dunya me ek zaber dast tabdili aa chuki hai. Computer hardware mein ab is kadar tanow aa gaya hai ke is ke tamam ajza ka aaht-ta kerna bohat mushkil hai. Ab PC mehaz ward processor ke leye istamal nahi hota hai balke is se kai kam leye jate hai. jese k es ne tamam daftar amor sanbhal leye hain. Multi media khsosiyat ke badolat ab communication mein es ko istamal kiya ja raha hai. Iinternet kay zarye dunya simat gai hai. Log ek dosre se internet ke zarye telephonic guftugu ker rahe hai. Screen ke zarye chating ek aam si bat hogai hay. E-mail ke zarye ab ap apne peghamaat dunya k ek kone se dosre kone tak pohcha rahe hain. Aaj ki machine ne insan ko jaha roshnai aur qalam se azad ker diya hai waha fun ki dunya me bhi is ke aa-ne se bohat bari tabdili ho rahi hai. Ab ek computer user artist bhi hai.
Jaha tak computer ke is ertaqa-e safar ka taluq hai to jin machines ka upper zikar howa hai in key aa-nay mein kafi arsa laga hai leyken Pentium series shuroo hoe is ki release bohat tezi se howa aur palak jhapkte he hum P4 tak pohanch gaye hain.
Ager computer ke ajza ko mehaz ek nazar me dekha jaye to is me baher se mushayedah kerne per humay chand hi chezain nazar aaien gi. Pehle hum yaha inhe chezon se ap taruf badi-ul-nazar dikhai de rahi hoti hai.

System Unit

Computer darasal yehi chez hai jo ek box ki shape me tower ki sorat me nazar ati hai ya phir monitor ke niche rakha nazar ata hai. Esy ap bunyadi chez tasver ker sakte hain.is me hi wo tamam purze lage hote hai jin ke zerye kam hota hai.jo digar chizein hume dekhai de rahi hoti haiin sab ko isi unit ke sath jora gaya gaya hota hai.is me aam tor per pechli simt me kai tarein laga ker computer ke digar ajza ko jora gaya hota hai.
Computer ke zerye jo kam kiya jata hai is ko ye his-sa process kerta hai. Esi waja se ise centre processpr unit bhi kaha jata hai. Agar-cha centre processor se murad processor hota hai layken kio ke wo tamam kam jo computer ker sakta hai yahin se process ho ker mukhtalif shaklo me hum tak pohanchte hai is leye ese bhi c.p.u keh diya jata hai.
Is markaz-i-his-se ko samajhne ke bad ab hum baqi ajza ko 3 bari kismo me parh sakte hain jinka taluq is markaz-e his-se se hota hai. Jab hum is se processing ka kam lytey hain to process karne key liye humain zororat hoti hai ke hum is ko data fraham kere. Jo alat hum computer ko data farham karney key leye istamal kerte hain inhe computer ki zaban me input devices kehte hain.
Jo kam hum input alat ki madad se es centre processor unit ko dete hain lazmi tor per hume in ke nata-ej bhi darkar hote hai. Nata-ej ke leye is machine ke sath jo alat lagaye jate hain inhe output devices kehte hain.
Is ke elawa tisri aeham aur bunyadi kisim bhi hai jise storage media kehte hai. Computer mein ye salahyat bhi hai ke wo na sirf ap ke taraf se sonpe gaye kam ko ser anjam deta hai balke ap ki saholyat ki khatir esye next time istamal kerne ke leye mehfoz ker sakta hai. Es ke leye kai tarah ke alat istamal hote hain.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...