Shroo mein input device ke tor per sirf ek aala estamal hota tha jise keyboard kehte hain. Ye ek type writer ki manind aala hai. Jis me bilkul esi tarah hurf-e-tahajji aur aadad ke leye button banein hote hain jis tarah ke type writer mein hote hain. Lekin is key sath sath es mein kuch izafi button bhi de diye gaye jin ko computer ke mukhtalif aafal me istamal kiya jata hai. Jab ap computer istamal kerna shroo karain gey to mukhtalif noyat ke kam kerne ke leye in button ka estamal ap ki samajh me aa jae ga. In mein F1se ley ker F12 takfunction button hote hain. 2 alt, 2 ctrl, ek ek delet, insert, home, end, page down, print scrn, scroll lock, break, num lock hote hai. In ke elawa 2 jaghon per arrow button hote hai jin se scrolling ka kam liya jata hai. Ek infradi set hota hai jin me up, down, right aur left arrow button shamil hai jab ke dosra set numeric key pad me hota hai jab numlock button off hota hai to numbers wale button arrow buttono ke tor per istamal ho sakte hain.
keyboard aj bhi computer ka ek aeham jaz tasaver hota hai aur data input ke leye is se kam liya jata hai. Jo data ap type ker rahe hote hain wo computer ko input ker rahe hote hain. Esi waja se bunyadi input device ke tor per keyboard hi se kam liya jata hai. Keyboard lagane key leye alag se ek port her motherboard me rakhi jati hai. Yeseries port ya PS/2 port kehlati hai.
Ager-cha keyboard nehayat aeham aur bunyadi input device ki hesiyat rakhta hai. Lekin ek nu-amoz ke leye is ka istamal Etna asan nahi hai. Aaj bhi jaded programs mein key board istamal kerne walo ke leye keyboard shortcut banae jate hain lekin ibtada me jo programs aatey thein in mein ziyada ter kam keyboard ki madad se hi hota tha.is me jo kabahat thi wo ye key istamal kananda-gan ko sekro ke hisab se commands yaad kerne ki zarorat hoti thi. Es masle ko hal kerne ke leye ek aesi device ke bare me socha gaya jis ke zarye screen per kisi chez ko point ker ke kam kiya ja sake.is ka hal akhir kar zero case corporation engenears ne talash kiya jis ke natije me mouse wajod me aa gaya.
Mouse ko shroo hi me Macintosh ne apne APPLE computer ke leye apna lia lekin IBM aur is sye mutabeqat rakhne wale computers me es ka istamal bohat bad me shroo howa. Windows ki aamad ke bad mouse ka istamal ba-tad-rej na-guzer hota gaya aur aaj mouse ke bagair ek PC ka tasaver bhi nahi kiya ja sakta. Ek mouse ki mojodgi ki waja se ab ap ko kisi qisim ka command yaad rakhne ki zarorat nahi hoti. Her kam ke leye screen per ek icone bana diya jata hai. Ye kisi bhi kam ki tasveri numaen-da-ge hai. Yani agar screen main kisi jagha par ek icon ho gaa to iss ka sidha sadhaa mutlub ye hai k ye icon printing k lye hai. Mouse ki nishandahi screen par ek tirchee arrow ki shakal main hooti hai. Mouse ko jis simt harkat di jaa ti hai ye arrow issi simt harkat karta hai. Screen par kisi bhi Icon ya object par iss arrow ko la kar jub mouse button press kya ja ta hai to gooya hum computer ko koe makhsoos kam karne ka hukam daitain hain.
Mouse main do button hotain hain jin mein ek button primary button aur dosra secondary button kehlata hai. Windows k puraaney version main mouse k secondary button ka isstamal naa honey k baraber thaa. Lekin windows 98 aur iss k bad secondary button ka isstamal bohut barhgayaa hai. Aam tor-par primary button koclick karna ho to faqat click karney ka lafaz isstamal hota hai jub secondary button ka isstamal karna ho to iss k lye right click karney ka lafaz isstamal kya jata hai. Input device main ehamiyat kay hisab sey mouse ka dosra number hai.
Aaj kal mouse ki jo kismain isstamal harahi hain wo darjazail hain.
Serial Mouse:
ye mouse serial port lagta hai. Puraaney sey ley kar jaded tareen computers tak iss mouse ko isstamal kya jaskta hai kyun k serial port har PC main mojood hoti hai. Ports k barey main hum aagey chal kar parhain gey.
PS2 (PS/2) Mouse:
Ye mouse bhi serial mouse ki tarha he kam karta hai. Pehley aaney wali Branded machinoo jisey 386 wagherah main bhi isstamal hota thaa lekin humarey yahan ban-ney wali machinoo main iss ka isstamal P2 sey aam howa hai kyun k iss processor key lye isstamal honey waley mother board main ye port rakhi gaye thee jub k puraani machinoo par iss ko allag sey lagana parta thaa. Iss port k aaney sey naaye machinoo main serial port farigh ho gayee is ki waja sey inn machinoo main external modem aur digar serial devices k laganey ki sahoolat hogaye hai.
Wireless Mouse:
Wireless mouse ko agercha kisim k aitbar sey alag kya jaa sakta hai kyun k is ko PC k saath laganey key lye koe cable isstamal nahi hoti bal k is ski bajeye infrared showaaon sey kam lya jaata hai lekin inn showaaon key signal kabool karney wala aala serial ya PS port key saath he mansalik hota hai.

Mouse

No comments:
Post a Comment