Casing sey muraad wo dabaa ya box hai jiss key under computer key tamam ejzaa lagaye jatain hain to ye system unit banta hai. Upper humne jinn cheezoo ka zikar kya hai ye tamam casing key under hi lagaye jatey hain. Casing key under motherboard, floppy drive aur zip drive key illawa much-ta-lif qisim key card laganey key liye jagha bani hoti hain. Iss key ilawa iss key under ek power supply hoti hai jo system unit key tamam ejzaa ko current farahim karti hai.
Casing ki shakal key aitbar sey kaye kismain hain jisey desktop, mini tower aur full tower waghera. Desktop casing main banaye gaye system unit ko aam toor par monitor key nechey rakha jata hai.
No-e-yeat key aaitbar sey casing ki do kismain AT aur ATX hain. Inn dono kismoo ki shakal main to farak nahi hota balkey power supply key conectors main faraq hota hai. ATX casing main auto power off ka future hota hai. Yaani usey start karney key liye to on / off button stamal hota hai lekin band karney key liye iss button ki zarorat nahi hoti balkey window shut down honey par ye khud band hojati hai.
Inn cheezon key mukhtasar taruf key bad ab hum tyaar hain ki aik computer ko asambal karney ka kaam shuroo karsakey. Jis cheezon ki mukamal wazahat yahan nahi hosaki inn ki wazahat agey asambal key waqt hojaye gee.
Assembling with Slot Processor
Computer ko assemble karne sey pehley iss key mukhtaleef ejzaa key bare main faisla karne ki zarorat hoti hai. Maslan aap ko ye faisla karma pareyga key iss main aap kon sa processor lagana chahtey hain. Motherboard kiss company aur kiss model ka ho. Digar cards ki tafseel tay karna hogee aur sab sey e-ham baat ye key jiss casing main ye sb kuch lagana chahtain hain wo kiss tarha ki hogee. Jub aik PC ka tamam zarori saman ikhata kar lain gey to chezain kharydtey waqt ye etminan karlain key dukandar ney taman cheezon key driver aur inn cheezon key saath aaney waley menuals yaani kitabachey ya letrature aap ko dai dya hai. Ye cheezain iss qadar eham hain key kbhi kbhi aik driver key lye masla khara hojata hai. Inn ki zarorat aap ko kisi bhi waqt parsakti hai.
Assembling karney sey pehley chand zarori baatain note karlain.
1- computer ko Assemble karney key lye behtar mahool to aik computer labortary he meyaiser aaskta hai. Taahum agar aisi saholat meyesar na ho to kam az kam aisey intezamaat zaror karlyni chahye key lab ki tarha mahool ban jaye.
2- sub sey bunyadi zarorat aik bari table hai. Iss ka size kam az kam itna zaror ho key aap asani kay sath ess par tamam cheezain rakh sakain.
3- screw drivers (jihain uraaf aam main paich-kas kaha jata hai) ka set jismain har tarha key aur har size key screw drivers mojood hon. Lekin agar aik phlips screw driver jisey amoman char muu ka screw drivers kehtain hain aur flate screw drivers bhi hoto aap kaam chalasktain hai.
4- Aik adad pilaas agar long nose aur aam, dono tarha kay pass hon to behtar hain.

No comments:
Post a Comment